Just penned it...based on recent events...
Aye Bitiya Chandi Ban Kaali Ban
Aaj bhi Chand Chandni se toh hain,
Aaj bhi Suraj Roshni se toh hain,
Aye Bitiya Tu Chandi Ban Kaali Ban
Dono Aaj bhi Andheron Mein Hain.
Aaj bhi Niyat mein khot hi toh hain,
Aaj bhi Darinde Azad hi toh hain,
Aye Bitiya Tu Chandi Ban Kaali Ban
Dono Aaj Bhi Kisi Maa ke Khokh mein hain.
Aaj bhi Shaashan sirf shabd hi toh hain,
Aaj bhi Dushshasan ek bimaari hi toh Hain,
Aye Bitiya Tu Chandi Ban Kaali Ban,
Dono Aaj Bhi Gali Chaurahe mein hain.
Aaj bhi Dharm khangalte hi toh Rah gaye hain,
Aaj bhi Vehshi Parde mein hi toh hain,
Aye Bitiya Tu Chandi Ban Kaali Ban,
Bahut hui Akhbaron ki kahani...
Ya fir Ban Jaa Jhansi ki Raani...
.....Paribrahmin.
No comments:
Post a Comment