BAS JAANE KI ZIDD NA KARO… by PariBhramin
(A Tribute to Depression)
Hawa Aaj Bhi Jism Choo Jaata Hai,
Choona Guna Hai to Mere Maut Ka Intezaam Karo,
Chookar Bas Nazar Milaya Karo,
Bas Jaane Ki Zidd Na Karo.
Barsaat Aaj Bhi Deewana Hai,
Mausam-E-Ishq ka luft Uthakar Bheega Karo,
Galatfahmiyan Dhul Gaye Toh Nigahein Milaya Karo,
Bas Jaane Ki Zidd Na Karo.
Nasha Aaj Bhi Maikhaane Mein Hai,
Aankhon se Yun Thukraya Na Karo,
Bas Nashili Nazron Se Jaam Pilaya Karo,
Bas Jaane Ki Zidd Na Karo.
Batein Karna Aaj Bhi Zaroori Nahi Hai,
Bas Zulfe Khol Kar Raat Ka Manzar Dikhaya Karo,
Raat Dikha Diya Toh Khawabon Ko Jagaaya Karo,
Bas Jaane Ki Zidd Na Karo.
Samandar Aaj Bhi Apne Mauj Mein Hai,
Waqt Ko Kaho Na Usse Na Hamein Azmaya Karo,
Azamaa Hi Liya Toh Kuch Batein Hi Karo,
Bas Jaane Ki Zidd Na Karo.
No comments:
Post a Comment